Tuesday, December 14, 2010

Chaha tha jise woh mila hi nahin

chaha tha jise woh mila hi nahin
lakh koshish ki lekin yeh fasla mitta hi nahin
khuda se jholi phela k manga tha usse
khuda ne meri kissi dua ko suna hi hani
her ek se pocha terey na milney ka sabab
her ek ne bataya woh terey liye bana hi nahin
kitni shidat se chaha tha aur woh kissi aur ka ho gaya
shayad is jahan mein wafa ka silla hi nahin
merey humnasheen merey hum nawan yeh dua hai koi gila nahin
tujhe zindagi mein woh sukon miley jo mujhe kabhi mila hi nahin