Sunday, August 03, 2008
SHAYARI
Sab kuch hai pas par dard-e-dil ki dawa nahi,
dur hai woh mujhse magar main usse khafa nahin,
maloom hai ab bhi chahti hai woh mujhe,
woh thodi zidii hai par bewafa nahin..
Kyon Maangte Ho Andhere Apne Vaaste E Dost
Jab Hum Roshni Khareed Laaye Hai
Takeed Ki Hai Baharo Se Ki Tujhse Jaakar Mile
To Kyon Tere Aas Paas Gumon Ke Saaye Hai
Apne Labon Ko Kyon Siye Baithe Ho
Kya Chhupa Hai Dil Mein Saamne To Laao
Dard Ki Lakiron Ko Mitane Do Gallon Se
Tere Liye Har Lamhe Se Muskuraahte Samet Laaye Hai
Gar Karoge Bharosa Mujh Par Dost
Waada Hai Sada Saath Nibhaunga
Har Aansun Jo Ubhrega Teri Aankon Mein
Teri Ksam Apni Aankhon Mein Sahej Laaunga
Kya ab bhi meri jhalak khuwab main nazar atee hai tumhain
Kya meri har yaad ab bhi raat bhar jagati hai tumhain
Har andhere tumhe mujh tak khench lata tha
Kya ab bhi koi roshni is tarah bolati hai tumhain
Mera har raaz tumhain hawa hi bata jatee thee
Kya ab bhi khushbu mere paigham sunatee hai tumhain
Meri taqleef per wo ankh main nammi ka aa jana
Kya ab bhi meri koi baat rolatee hai tumhain
Tumhara har jazba, tumharee ankh mujh se kah detee
Kya ab bhi wo kuch na kah kar har baat batati hai tumhain
Har awaz pe tumhe mere ane ka hota tha gumaan
Kya ab bhi koi aahat yuun satatee hai tumhain
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment