Monday, February 21, 2011

Pin It

Widgets

Ghalib

Few of my fav Ghalib couplets:

Ragon mein daudte phirne ke hum nahi Qaayal, Jab aankh hi se naa tapkaa to phir lahoo kyaa hai

Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan hamaare jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai

aah ko chaahiye ik ‘umr asar hone tak, kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?

ishq mujhko nahi, wehshat hi sahi, meri wehshat, teri shohrat hi sah

hazaaron khwahishain aisee ke har khwahish pe dam nikle, bohot nikle mere armaan lekin fir bhi kam nikle

kahaan maikhaane ka darwaaza ‘Ghalib’ aur kahaan waaiz, par itana jaante hain kal wo jaata tha ke ham nikle

ye na thi hamaari qismat ke wisaal-e-yaar hota, agar aur jeete rehte yahi intezaar hota

dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai ? aakhir is dard ki dawa kya hai, hamko unse wafa ki hai ummeed, jo nahi jaante wafa kya hai

unke dekhe se jo aa jaati hai mooh par raunaq, wo samajhte hain ke beemaar ka haal achcha hai

humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin, dil ko khush rakhne ko ‘ghalib’ ye khayaal achcha hai

hui muddat ke ‘ghalib’ mar gaya par yaad aata hai, wo har ek baat pe kehana, ke yoon hota toh kya hota?

0 comments: